Wednesday, June 18, 2025

"Himmat Wali Larki – Ek Safar Jo Sabko Sochnay Par Majboor Kar De"

 

"Himmat Wali Larki – Ek Safar Jo Sabko Sochnay Par Majboor Kar De"

Yeh kahani hai ek simple si larki ki jiska naam tha Sara. Uski zindagi shuru se hi aasan nahi thi. Jab wo sirf 10 saal ki thi tab uske walid ka inteqal ho gaya tha. Maa akeli reh gayi thi do chhoti behnon ke saath. Ghar ke halat bohot bure thay... khana bhi mushkil se milta tha. Log kehte thay:
"Iss ghar ka kya hoga? Yeh larkiyan kabhi kuch nahi kar sakti."

Lekin Sara ne kabhi bhi himmat nahi hari.

Subha 5 baje uth kar pehle maa ki madad karti, chhoti behnon ko tayar karti, phir school jaati. School se wapas aake ghar ke kaam karti, raat ko books uthati aur apne sapno ko yaad karti — "Main doctor banoon gi... meri maa kabhi phir dukhi nahi hogi."

Har roz naye maslay — kabhi fees ka problem, kabhi maa ki tabiyat kharab, kabhi logon ki baatein — lekin Sara ne har cheez ka samna kiya. Kabhi doston se old books le li, kabhi tuition padhakar paisay jamaa kiye. Raat raat bhar parhti rehti thi, aankhon se neend bhi chali jati thi lekin sapnay nahi.

Ek din aisa aya jab usay scholarship mili.
University ki fee free hogayi. Maa ki aankhon mein aansoon thay, lekin is dafa khushi ke. University ke dino mein bhi usne part time kaam kiya — library mein, store pe — lekin kabhi padhai nahi chhodi. Finally usne MBBS complete kiya.

Aaj Sara ek mashhoor doctor hai. Uska apna chhota sa clinic hai, maa aram se zindagi guzar rahi hai aur chhoti behne school ja rahi hain. Aaj log kehte hain:

"Yeh wahi larki hai jo kabhi haar nahi maani."

Is kahani ka asal message kya hai?
Kehne ko to halat bure thay, log bhi buray thay, lekin agar banda khud ka saath na chhore... to zindagi kabhi bhi badal sakti hai. Haar un ki hoti hai jo koshish chhod dete hain — lekin jo banda sapno ke liye larta rehta hai, usay Allah bhi kamiyabi deta hai.


 Is story ka asal lesson kya hai?

Asal lesson yeh hai ke kabhi bhi mushkil halat ke samne haar nahi manni chahiye. Zindagi badalti hai — lekin sirf un ke liye jo koshish karte hain

DOCTER:Sara

.

No comments:

Post a Comment

Log Bolte Rehte Hain, Par Kya Kabhi Koi Tumhara Dard Samjha

  "Log Bolte Rehte Hain, Par Kya Kabhi Koi Tumhara Dard Samjha" Kabhi kabhi zindagi mein aisa waqt aata hai jab hum har kisi ki s...