Posts

Showing posts from July, 2025

"Jab Allah Khamosh Ho Jaye..."

Image
  "Jab Allah Khamosh Ho Jaye..." Kabhi aesa lagta hai ke hum dua karte hain… lekin jawab nahi aata. Ro ro ke Allah ko pukarte hain… lekin zindagi mein koi behtari nahi hoti. Tab dil toot jata hai, aur shaitan ka asar barhne lagta hai. Lekin sach yeh hai: Jab Allah khamosh hota hai, to samajh lo ke wo kisi behtareen waqt ka intezar kar raha hota hai. Sabr Ka Imtihan: Sabr ka matlab sirf ruk jana nahi… Sabr ka matlab hai ruk kar bhi Allah par bharosa rakhna. Hazrat Yaqoob (A.S) ne apne bete Yusuf (A.S) ko saalon tak nahi dekha… Lekin unhone kabhi apni dua se haar nahi mani. Wo kehte rahe: "Fa sabrun jameel" — Main khoobsurat sabr ikhtiyar karta hoon. Aur phir dekho… Allah ne Yusuf (A.S) ko wapas laa kar izzat bhi di, aur maqam bhi. Tawakkul Ka Jazba: Zindagi mein jab kuch samajh na aaye… Jab har darwaza band ho jaye… To bas ek baat yaad rakhna: “Allah is enough for the one who trusts Him.” (Surah At-Talaq, Ayat 3) Aakhir Mein: Agar tumhari zi...

(Ek Rooh Ko Hila Dene Wali Islamic Motivation)

Image
  (Ek Rooh Ko Hila Dene Wali Islamic Motivation) Kabhi zindagi mein aise lamhe aate hain jab har raasta band lagta hai, log samajhne ke bajaye ilzaam dete hain, aur dil itna thak jaata hai ke dua mein bhi aansu ruk jaate hain. Lekin yaad rakh… Tera Rab tujhe bhoolta nahi. Woh tere har dard se waaqif hai, Woh tere har tootay lafz ko samajhta hai, Woh teri khamoshi mein bhi teri cheekh sun leta hai. Jab raat ke andheron mein tu akele sajday mein jhukta hai, toh woh Rab arsh se zyada qareeb ho jaata hai. Woh kehta hai: "Main teri shah ragh se bhi zyada qareeb hoon." (Surah Qaf – Ayah 16) Toh ruk mat... Na logon se haar, Na duniya se thak... Bas Allah se rabta mat toor. Wo Rab jisne Musa ko samundar ke beech raasta diya, Woh tujhe bhi teri har mushkil mein chhupa raasta dikhayega. Aaj ka Paighaam: "Log sirf surat dekhte hain, lekin Allah teri niyyat dekh raha hai. Teri musibat mein teri ibadat ban rahi hai." Sabar kar. Dua kar. Aur chhod de us p...

Sabar – Kamyabi Ka Sabse Bara Raaz

Image
   Sabar – Kamyabi Ka Sabse Bara Raaz "Allah sabar karne walon ke saath hai." (Qur'an 2:153) Aaj kal ki fast life mein har kisi ko sab kuch jaldi chahiye — success, paisa, fame, relationships. Hum impatient ho gaye hain, lekin sabar ek aisa sifat hai jo har musibat mein hume sambhalta hai, aur har imtihaan mein Allah ka qareeb bana deta hai. Jab Zindagi Mushkil Lage... Zindagi mein kabhi kabhi aise mod aate hain jab har raasta band lagta hai. Na job milti hai, na log samajhte hain. Aise waqt mein aksar hum gila shikwa karte hain. Lekin jo log sabar se kaam lete hain, wo waqt ke sath sab kuch pa lete hain. Sabar Ka Phal Meetha Kyun Hota Hai? Sabar karne wale log androni tor par mazboot hote hain. Wo har dukh, har intezaar ko ek imtihaan samajh kar bardasht karte hain. Aur jab Allah ata karta hai, to uska silah itna bada hota hai ke insan hairan reh jata hai. Sabar Aur Dua – Dono Sath Sath Sabar ka matlab yeh nahi ke sirf chup chap baithe rahna. Sabar ke saath du...

"Allah Har Baar Sahi Waqt Par Karta Hai Insaf"

Image
  "Allah Har Baar Sahi Waqt Par Karta Hai Insaf" Zindagi mein kabhi kabhi sab kuch ulta lagta hai. Na mehnat ka phal milta hai, na hi sabr ka sila. Lekin wohi waqt hota hai jab insaan ka sabse bara imtihaan hota hai. Allah dekhta hai tumhara sabr, tumhari dua, aur tumhara bharosa. Aur woh kabhi bhi apne banday ke saath na-insafi nahi karta. Har der mein uski hikmat hoti hai. Shayad tumhara waqt abhi nahi aaya — lekin woh zarur aayega. "Fa inna ma’al ‘usri yusra – Har tangi ke saath aasani hai." (Qur’an 94:6) Toh agar tum thak gaye ho, rukne ka mann ho raha hai — toh sirf ek lamha ruk kar yeh soch lo: Kya Allah janta nahi tumhari takleef? Wo janta hai… aur woh tumhari dua zarur kabool karega. Bas sabr karo, imaan rakho, aur chalte raho.

"Jab Tak Zinda Ho, Umeed Hai"

Image
  🌸 "Jab Tak Zinda Ho, Umeed Hai" 🌸 Zindagi aksar waisi nahi hoti jaise hum soch ke chalte hain. Kabhi hum mehnat karte hain lekin phal dair se milta hai, kabhi log chhod jaate hain, kabhi waqt hi thakaa deta hai... Lekin yaad rakhna: "Har subah ek nayi shuruaat hoti hai. Har saans ek naya moka hoti hai." Tum abhi tak zinda ho, matlab har cheez theek ho sakti hai. Toot gaye ho? Theek hai. Thak gaye ho? Koi baat nahi. Ruk gaye ho? Abhi dobara chalna shuru karo. Allah kabhi kisi ki mehnat zaya nahi karta. Woh har waqt tumhari har khamosh dua sunta hai. Bas yakeen rakhna seekho. Apne aap se, apne Rab se, apni mehnat se. 💫 Zindagi ka safar mushkil zarur hai, lekin namumkin nahi. Tum gir sakte ho, lekin hamesha uthne ki himmat rakhna. Kyuki jab tak tum zinda ho – Umeed hai.  🌸 Zindagi aksar waisi nahi hoti jaise hum soch ke chalte hain. Kabhi hum mehnat karte hain lekin phal dair se milta hai, kabhi log chhod jaate hain, kabhi waqt hi thakaa deta hai... Le...

"Hosla Rakh… Tera Rab Jaanta Hai Teri Kahani"

Image
  "Hosla Rakh… Tera Rab Jaanta Hai Teri Kahani" Kabhi kabhi zindagi mein aise morh aate hain Jahan sab kuch ruk sa jata hai… Raaste dhundhlay lagte hain, Aur dil thak kar keh deta hai — "Bas ab nahi hota..." Lekin usi waqt ek awaaz andar se kehti hai: "Hosla rakh… Tera Rab dekh raha hai." Woh Rab jo andheron mein roshni ban kar aata hai, Jo aansuon ke zariye dua sunta hai, Aur jo sabr ke badle aisa inaam deta hai Jiska tu ne socha bhi nahi hota. Jab duniya chup ho jaati hai, To Allah tumse khud baat karta hai. Jab sab door chale jaate hain, To woh tumhare aur qareeb aa jata hai. Tumhari khamoshi, tumhari sabse gehri dua hai. Aur sabr… woh sirf intezaar nahi, Balkay yaqeen hai ke jo kuch bhi ho raha hai, Woh tere haq mein behtareen hai. 🕊️ Tera waqt zaroor aayega. Aur us waqt, log teri kahani ko sirf sunenge nahi… Woh tumse hosla lena shuru karenge.  Caption : “Wo jo chup rehta hai, Allah uska sab kuch sunta hai.” “Sabr woh pull...

“Apni Awaaz Dabana – Jab Hum Khud Se Bhi Khamosh Ho Jate Hain”

Image
  “Apni Awaaz Dabana – Jab Hum Khud Se Bhi Khamosh Ho Jate Hain”  Har Baar Chup Rehna – Kya Yeh Mazbooti Hai? Kabhi kabhi hum itna kuch seh jaate hain… Muskurate hain, lekin andar se cheekh rahe hote hain. Har jagah log kehte hain: “Adjust kar lo…” “Ignore kar do…” “Tumse to yehi expect tha…” Aur hum? Bas chup rehte hain. Har baar. Har jagah. Har rishte mein.  Kya Sach Mein Hum Itne Kamzor Hain? Nahi. Hum kamzor nahi, thak chuke hain . Thak gaye hain baar baar samjhate hue, Apna dard chhupate hue, Aur sab ko khush rakhte hue khud ko bhoolte hue.  Kyun Dabate Hain Apni Awaaz? Log judge na karen Rishtay toot na jayein Apne emotions ko express karna weakness na samjha jaye Lekin socho … Jab hum khud ko hi nahi sunte, To duniya humein kyun sune gi?  Ab Waqt Hai – Apne Liye Bolne Ka 1. Tumhara dard valid hai – use feel karne ka haq hai 2. Apni baat likho, bolo, art ya writing ke zariye bayaan karo 3. Apne aap se sach bolna seekho – yeh pehla ...

Comparison Ka Zeher – Apne Aap Se Mohabbat Karna Seekho

Image
  Comparison Ka Zeher – Apne Aap Se Mohabbat Karna Seekho Har din hum kisi na kisi se compare ho jaate hain... Uski zindagi zyada perfect kyun hai? Uska lifestyle mere se better kyun hai? Wo itna successful kaise ho gaya? Lekin hum yeh bhool jaate hain ke har kisi ka safar alag hota hai, aur har zindagi ke pichay ek kahani hoti hai jo hum nahi jaante.  Har Muskurahat Ke Peechay Ek Dard Chhupa Hota Hai Jo log social media par hamesha happy dikhte hain, wo bhi tanha hote hain. Jo log success show karte hain, unhone bhi raat raat bhar mehnat ki hoti hai. Jo dikh raha hai, wo sirf ek hisa hai — asli zindagi camera ke pichay hoti hai.  Comparison Apne Aap Ko Tode Deta Hai Jab hum doosron se apne aap ko compare karte hain, toh hum apni asli value bhool jaate hain. Apne aap se nafrat karne lagte hain, khush rehna chhod dete hain, aur humesha guilt mein jeete hain.  Apne Aap Se Mohabbat Karna Seekho Jab aap apne safar ko samajhne lagte ho, tab aapko pata chalt...

"Allah Ka Insaf Der Se Aata Hai, Magar Behtareen Hota Hai"

Image
  "Allah Ka Insaf Der Se Aata Hai, Magar Behtareen Hota Hai" Kabhi kabhi zindagi mein aisa lagta hai ke sab kuch khilaf ho raha hai. Sacha insaan ro raha hota hai, aur jhoota hans raha hota hai. Lekin yaad rakhna… "Allah ka insaf kabhi nahi rukta. Woh dekh raha hota hai — har aansu, har zulm, har be-insaafi." Wo waqt aata hai… jab sab kuch saamne aa jata hai. Jin logon ne dard diya hota hai, woh khud dard mein hote hain. Aur jin logon ne sabr kiya hota hai, unka sar fakhar se ooncha hota hai. 🕊️ Aik Line Jo Dil Ko Cho Jaaye: "Logon ka faisla waqt karta hai, lekin Allah ka faisla sab kuch badal deta hai." To agar tum par zulm hua hai — chhup kar rona band karo. Sirf Allah se baat karo. Woh sunta bhi hai… aur insaf bhi karta hai — behtareen tareeqe se.