Allah Pa Barosa
Allah Pa Barosa
Zindagi ke safar mein insaan ko bohot si mushkilat aur imtihan ka samna karna padta hai. Kabhi rizq ka masla hota hai, kabhi sehat, kabhi rishtay aur kabhi duniya ki aur pareshaniyan. Aise waqt mein insaan ka asal imaan tab samnay aata hai jab wo sab kuch chor kar sirf Allah pa bharosa karta hai.
Allah Qur’an mein farmata hai:
Aur jo Allah pa bharosa kare, to wo uske liye kaafi hai. (Surah At-Talaq: 3)
Ye ayat humein yeh sabak deti hai ke insaan chahe kitni bhi planning kare, kitni bhi koshish kare, asal kamiyabi aur nateeja sirf Allah ke ikhtiyar mein hai. Jab banda apne dil se yeh yaqeen kar leta hai ke mera Rabb mere liye behtareen faisla karega, tab uska dil sukoon mein aa jata hai.
Duniya ke log aksar ghabra jate hain, stress aur tension mein aa jate hain, lekin jo Allah pa barosa karte hain unka dil mazboot rehta hai. Barosay ka matlab yeh nahi ke insaan koshish chor de, balkay barosay ka matlab hai ke insaan koshish bhi kare aur phir nateeja Allah pa chor de.
Misal
Agar tum beej zameen mein bo dete ho, paani dete ho aur uski dekh bhaal karte ho, to phir fasal ugana tumhara kaam nahi — wo Allah ka kaam hai. Tumhari zimmedari sirf apni koshish karna hai, baqi Allah par chor dena hai.
Natija
Allah pa barosa karne wale log hamesha dil ke daulatmand hote hain. Unki zindagi mein sukoon hota hai, aur wo kabhi akelay mehsoos nahi karte.
Isliye hamesha Allah pa barosa rakho, chahe mushkilat kitni bhi bari kyun na ho. Kyunke jo Allah pa bharosa karta hai, Allah usay kabhi akela nahi chor’ta.
Comments
Post a Comment