Azmish — Jab Zindagi Imtihan Leti Hai
Azmish — Jab Zindagi Imtihan Leti Hai
Zindagi mein kabhi kabhi aise lamhay aatay hain jab sab kuch toot'ta sa mehsoos hota hai.
Apne door ho jatay hain, mushkilat barh jaati hain, aur lagta hai ke Allah ne sunn'na chhor diya hai.
Lekin asal mein yeh waqt, Allah ki taraf se ek azmish hota hai.
Har Azmish Ek Maqsad Se Hoti Hai
Allah Qur'an mein farmata hai:
“Kya log yeh samajhtay hain ke woh sirf kehne se chhor diye jayenge ke hum iman laye, aur unhein azmaya nahi jaye ga?”
(Surah Al-Ankaboot, Ayat 2)
Iska matlab yeh hai ke sirf kehna kaafi nahi ke hum momin hain — asal imaan to tab samne aata hai jab hum azmish se guzarte hain.
Azmish Ka Asar — Imaan Ki Pakizgi
-
Azmish banda ko Allah ke qareeb karti hai.
-
Wo humari niyat aur sabr ka imtihaan leti hai.
-
Aur aksar, azmish ke baad Rehmat ka darwaza khulta hai.
Jab Hazrat Ibrahim (A.S) ko apne bete ko qurbani dene ka hukum mila, unhone socha nahi — sirf tasleem kiya.
Aur phir dekhiye, Allah ne unke sabr ka ajar diya aur unko “Khaleelullah” ka maqam ata kiya.
Aakhir Mein — Hausla Rakhna Seekho
Agar aap is waqt kisi azmish mein hain — to yaad rakhna:
“Allah jisay azmata hai, usi se mohabbat karta hai.”
(Hadith)
Wo waqt bhi aayega jab aap muskura ke kehnge:
"Shukar hai maine sabr kiya.
Azmish mein gira banda kamzor nahi hota, balkay Allah ke nazdeek hota hai.
Azmish aayi thi mujhe torne…
Magar main sabr kar gaya,

Comments
Post a Comment