MOJAZA – Jab Khuda Chahay, Toh Namumkin Bhi Mumkin Ban Jata Hai

 

  •                                                      ꧁༒☬معجزہ☬༒꧂

  • Zindagi aik ajeeb safar hai...


    Kabhi sab kuch humare haath mein lagta hai, aur kabhi har cheez haath se phisalti nazar aati hai.
    Kabhi duaen foran qabool hoti hain, aur kabhi lagta hai jaise aasman bhi khamosh hai.
    Magar is khamoshi ke peechay bhi aik raaz chhupa hota hai...
    Woh raaz jo sirf waqt ke sath samajh aata hai — “Mojaza.”

    Mojaza koi aam cheez nahi hoti.
    Yeh na sirf umeed se bandha hota hai, balkay sabr aur yakeen ke gehre dariya se guzarta hai.
    Woh waqt jab har dar band ho chuke hote hain,
    jab log keh chuke hotay hain ke “ab kuch nahi ho sakta”,
    tabhi Rab ke taraf se aik naya raasta khulta hai —
    ek aisa raasta jahan se roshni aati hai, aur andheray mit jaate hain.

    Tumhari zindagi mein bhi mojaza ho sakta hai.
    Lekin us ke liye tumhein apne Rab par poora bharosa rakhna hoga.
    Duaon mein rona hoga, raaton mein jagna hoga, aur sabr ka daaman mazbooti se thamna hoga.
    Kyun ke mojaza sirf unnhi logon ke naseeb mein likha jata hai,
    jo haar mananay walay nahi hote…
    jo khud par nahi, Rab par yakeen rakhtay hain.

    Har aansu aik naya raasta kholta hai.
    Har raat ki tanhai ek nayi subah laati hai.
    Aur har tuta hua dil mojaza ki taraf aik kadam aur barhata hai.

    Agar tum is waqt tut gaye ho, udaas ho, to yaad rakhna...
    Khuda sab dekh raha hai.
    Woh sirf intezaar kar raha hai ke tum us se dil se pukaaro —
    phir dekho kaise tumhari zindagi mein woh mojaza nazil hota hai jo tumne kabhi socha bhi nahi tha.

    Toh rukna mat, tootna mat,
    kyun ke tumhara mojaza raaste mein hai…


     معـــجــــزہ 

    جب سب در بند ہو جائیں، تب اللہ اپنے خاص دروازے کھولتا ہے…


    یقین رکھو، معجزہ دیر سے آتا ہے، مگر بہت خاص ہوتا ہے۔

    🔗 https://www.fiverr.com/entryvista/i-will-do-data-entry-copy-paste-and-pdf-to-excel

    Comments

    Popular posts from this blog

    Log Bolte Rehte Hain, Par Kya Kabhi Koi Tumhara Dard Samjha

    "Jab Tak Zinda Ho, Umeed Hai"

    Chup Kar Mehnat Karne Walon Ki Kahani Kabhi Chhoti Nahi Hoti