Allah Ka Wada
Allah Ka Wada
Allah Ta’ala ka wada hamesha sach hota hai. Qur’an Majeed me Allah ne farmaya:
Aur Allah se zyada sachcha wada koi nahi kar sakta.
(Surah An-Nisa: 122)
Insaan apne wada tod sakta hai, lekin Allah kabhi wada khilafi nahi karta. Har ibadat, sabr aur nek amal ka jo ajar Allah ne waada kiya hai, woh zaroor poora hota hai.
Qur’ani Waday
1. Namaz qaim karne walon ka waada
Allah unke dil ko sukoon aur rooh ko roshan karta hai.
2 Sabr karne walon ka waada
Allah unko bepanah ajar deta hai.
3. Toba karne walon ka waada
Allah unke gunaah maaf kar deta hai
.
4. Iman walon ka waada
Allah unke liye Jannat ki basharat deta hai.
Hamaray Liye Paigham
Allah ka har wada hamesha haq aur sach hai. Humein apni zindagi ko Quran aur Sunnat ke mutabiq banana chahiye taa ke hum bhi un wadon ka hissa ban saken jo Allah ne apne bandeon se kiye hain.
.jpg)
Comments
Post a Comment